Daastan-e-Zindagi

Home | Meri GazleiN | Punjabi Darpan | Funny Geet/Ghazals/Kavita | Meri Azaad Shayari | English Poetry | Mere Geet | MaiN Our Meri Tanhayii | My Favourite Links | Inspirational things | Merii KahaaNiyaaN | Important Circulars

MaiN Our Meri Tanhayii

Me and My Lonelyness
 

Hello and welcome to my poetry. I am just a misterious soul observing the world, living in a lovely environment loved by many quite content with my life. I have been here to tell my mind to the willing people  upon this earth. I have been with my sweet wife to help me in my sad times  and we have two really great grown up daughters to share our lives with. I started this journey from my mind as a way for me to release thoughts from my head.I am a soul who loves poetry, prose, rock, dance, punjabi Bhangra and punk music. I write whatever comes to my head as poetry, stories, screenplays, Novels, and songs in diffrent languages.Yes!! I am a writer of multiple Indian languages--Hindi, Punjabi and urdu. Now I am writing English poetry too and  have been published in many ways. I started to write  express my thoughts to know the world my views . My write helps me to let out all of my hidden emotions and it just lets me tell the world about what is happening to me and around my life at the moment. I always write in general which tells about the natural lives of people around me. Through my writes, I tried my best to present the things carefully and Graphically as the reader can understand well. Sometimes I could express the emotions felt by others so well that I would often get comments of sympathy towards my plight in life. I assure my readers that I am totally happy in my life--but I like these tastes of my poetry which sometimes becomes very sad and painful. yes ,my poetry sometimes becomes too much painful to bear. Every poem on here is dedicated to , people in my life. When I write poetry, I feel myself to be the character of the poem so I have shed many tears with my writings, I have lived with poetry. I have laughed with each of you, who have read my work. I have cried with each of you who had to walk away because sometimes it is very hard to understand my metaphoric poetry. Thanks for trying my poetry.
My poems are dedicated to my wife, children and a special person for whom I have a great respect and I want that person to be nameless, but no thoughtless. if you are  anytime hurt  by any of  my poetry or its line or my work, Please get help and Email me on hkmahajan@rediffmail.com   or add me at hk_mahajan@yahoo.com  if you need be. I will help you to figure it out. Please give me feedback through the link below . you are also requested to sign my guest book as I would love to know who comes to my site. I hope my metaphoric poetry makes you feel and think. ~

 

waise main apne Hindustaan ke  Delhi sheher se taalluk rakhtaa hoon.mujhe khush mizaaz log bahoot hi pasaNd haiN . Our shairy ke nazariye se dekha jaye toh maiN ye kahooNga ke maine koi aisa school nahiN join kiya our na hi koi ilm haasil kiya ...... meri ek majboori ye bhi hai ke maiN urdoo zubaan parh nahiN saktaa lekin urdoo poetry se mujhe Laalach ki hud tak pyar hai. Maine apnee pasand ke anusaar jo bhi kuchh kalaam yahaan post kiye haiN shaayad aap sab ko pasand aayeNge. Chaliye iss safar ko aour aage barhaten hain ......aour mujhe ummeed hai ke aap mujhe sahan karte rahenge mujhe waqt dene ke liye bahoot bahoot shukriyaa khudaa aap sab ko khush rakkhe.JahaaN tak likhne ka talluk hai dosto.. maiN 'Dard' ka hi soudagar hooN....'Dard' hi khariidta our bechta hooN.....bahoot hi naram-dil (emotional)....Likhne maiN.... Dard,Ishq,  Shraab, shabaab,Husn,be-wafayii,Judayii...mere tariin subject haiN .....Par Dard meri kalam maiN junoon ki hud tak samaya hai....mai umeed kerta hooN ki aapko meri tehreereiN pad ker apne lagaye waqt par kabhi afsos nahiN hoga..... Inshaallah Aap LogoN Se BaateiN Hoti hi RaheiN Gi.........Shukriyaa^h
Ab is tariin bazm ke liye maiN itna hi kahooNga ke....

Tum mile toh zindagi maiN ik nasha chhane laga
be-maja sii ho gayi thi, ab maja aane laga

 

 Mere Pasandiida Desh-bhakti Geet

Lata Mangeshkar on 6Lyrics.com
_________________

 

 

 



Ai khuda tu mujhe mere GunahoN ki saza de de
Ya mujhe mere gunahoN ke liye raza de de
Khud gunahoN ko kaboolne ka use de de dard
Ya us shaks ke hisse ki bhi la mujhe saza de de.

 

 

MaiN Delhi maiN hi PaRh-likh ker bada hua...mere waalden ka maiN beto maiN sabse chhota beta....schooling ( Ramjas School no-5) College (SGTB Khalsa North Campus)Delhi se Post Graduation Himachal University Simla se....Bachhpan se likhne ka shouk raha.....Sports maiN Hockey ( National) kho-kho (National) Volleyball (Delhi State)....
Nature kaheiN toh apnoN maiN bahoot hi jolly type of persoN...jaldi se mix up ho jata hooN agar doosra chahe toh....sommetimes bahoot hi reserve.....Bina invitation ke I hardly go anywhere......
 
meri poetry maiN wahi sab kutchh hai jo apnoN se mila ya mehsoos kiyaa
 
ApnoN se abhi talak jo kutch paya hai
Wahi maine shabdoN maiN dhala hai
Ab khud hi andaza kareiN
Kis Simt Andhera our kis simt ujala hai
 
 

Apne saaye se bhi ashqoN ko chhupa ker rona
meri-Tanhaayii.jpg
Jab bhi rona charagoN ko bhuja ker rona
Tumeh Jab mile kabhi FursateN,
Mere dil se Bhojh utaar do,
main bahoot dinoN se udaas hooN,
Mujhe koi shaam udhaar do.

jane kyuiN jalne lagieN haiN tanhaiiyaaN Teri hi yadoN se
Toote hue tere saaye bhi sapnoN maiN rang bharne lage.
 
########
 

Jis Waqt Khuda ne Tujhe banaya hoga
Uske dil maiN bhi Ik saroor sa chhaya hoga
Pehle toh socha hoga, tumeh jannat maiN rakh looN
Phir usey mera khyaal aya hoga

Kutchh Mere Dil Kareeb Naye Dost

Kutchh Woh saathi Jinke saath kabhi Hammne Hindi GoshtioN maiN Participate kiya

Meena Sharma

Meri Pasand ki kuctch gazleiN

Tu rakeeboN ki janib sarakti rahi
Main sulagta raha tu behekti rahi

########
ZulfeiN yuiN hi sar-e-aam sanwara na keejiye
Be-mout hamko husn se mara na keejiye


########
Meri tanhaaiyo tumm hi laga lo mujhko seene se
Ke ab kat.ta nahi ye safer yahaN Ghut-Ghut ke jeene se


########
Hui yuN GamoN ki ye shaam Akhiri hai
Pehna do kafan ye salaam akhiri hai


########

Meri tanhaaiiyo tum hi laga lo mukhko seene se
nilo2.jpg
Ke ab kat.ta nahiN ye safar yahaN Ghut-Ghut ke jeene se.

Abhi Na Jao Chhod ker
ke dil abhi bhara nahiN
......................
Aansoo Bharii haiN ...
Ye jeevan ki raaheiN...
Koi Unse keh de
HameiN bhool jaayeiN.....

Meri Akhri Iltiza tujhe ab Dard Mujhe pe hi war de
tabasum.jpg
Me fakat pyasa huN tera mujhe dard-e-dil ki dawa na de

MaiN hi wafa
Nibha na saka
Tumeh chaha
Per bata na saka

******

Judayii main terii

Main royaa bhi bahoot

Per tere saamne

Aansoo baha na saka

Merii Woh Filmi pasandiida adaakara
Jineh mai kabhi bhool na saka
 
 

Kutchh Dost Jo abhi tak nahiN bhoole

Satish Chawla….Rama Dutt

J.C Dua…Nilofer….Suman Jain

Neeru Sachdeva….Manmohan Singh

Harmohan Singh…..

 

Dekh ker ke aayina khud se bharosa uthh gaya,
Be-shak khuda se maangta hai 'harash' ab do gaz zameen.

COPYRIGHT

This website comprises and contains copyrighted collections and materials i.e Ghazals  and other writing works. You may not distribute, publish or use the materials, or any part of the materials,You are only authorized to view,the material contained within this website. In other words, All rights reserved. Reproduction in whole or in part is strictly prohibited without express written consent from the auther of the material.