Daastan-e-Zindagi

Mere Geet














Home | Meri GazleiN | Punjabi Darpan | Funny Geet/Ghazals/Kavita | Meri Azaad Shayari | English Poetry | Mere Geet | MaiN Our Meri Tanhayii | My Favourite Links | Inspirational things | Merii KahaaNiyaaN | Important Circulars





Dil Ki Awaaz

moomfirstlight.jpg

Aao Bitaayein Fursat ke
Kutchh pal Harash Mahajan
Ke sang

Aapke Waqt ke Kutchh pal Dene ke liye aapka danyavaad

...

__________एक गीत

आज की हसीनों से दामन छुडाएं कैसे हम,
झील सी आँखों में यूँ, डूब गए हों जैसे हम |

जुबां भी अब खामोश औ ये आँखें भी हुईं हैं नम,
दिल में हैं ज़ख्म बहुत भरेंगे कैसे-कैसे हम |

ये भीगी-भीगी पलकें हैं जो यादें उनकी झेलती,
तन्हा-शब्-ओ-तन्हा-गम झेलें कैसे-कैसे हम |

टुकड़ों में अब किया कतल बदल गए कातिल कई,
इन वक़्त की राहों को अब बदलें ऐसे-कैसे हम |

ये मेरी बदनसीबी कि न समझे वो न समझे हम,
यूँ रिश्तों पे पडा कफ़न ये भूलें ऐसे-कैसे हम |

____________________हर्ष महाजन




























Geet
 
Tooti hi kashti doley re bhayya tooti hi kashti doley re
ye kaisi iNsa ki bastii jo insaa ko toley rey re
Tooti hi kashti.......
 
Parvat-parvat saagar-saagar ye sab sach-sach boley re
Ek yahi insaan hai jo sab sach ghat ker hi boley re
Saagar gar ho atyant shaaNt bhi, phir bhi nayya  doley re
ye kaisi insaaN ki basti......
 
InsaaN ab insaaN ka dushman kya insaaN ka mol hai re
InsaaN ab insaaN se darta, ye iNsaaN ka bhog hai re
Jab dukh paaye iNsaaN se toh bhagwan ke dar khole re
Ye kaisi iNsaaN ki basti..............
 

Maa 
 
Maa tuzhko dekha hi nahi,
tu de apna avtaar kabhi,
ye duniya ajab nirali hai,
kerti na mujhe kyuin pyaar kabhi.
 
Na milta pita ka pyar mujhe,
na mile duniya ka dulaar mujhe,
sang le ja mujhko tu apne,
ya sapno mein de akaar kabhi.
 
Yuin pal-pal toote dil apna,
Kyuin dil ki keemat kutchh bhi nahi,
Kya bhookhey bilakhte mer jaayein,
Kyuin na khule kisi ka dwaar kabhi.
 
Bas zulmon ki barkha sehte hum,
apni koi patvaar nahi,
yuin ashk bahein akhian se sada,
Daaman mein jo le gamkhaar nahin.
 
Copyright©harash
 
 




































 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Yaadon ka deep 
 
Yadon ka deep Jala,
ye dil me dard uthha,
Badi muddat se mujhe maa,
Tera aanchal na mila.
 
Tere haathon ki mehek,
ab bhi aati hai sada,
Tere Mukhde ki jhalak,
Aaye sapno me sada,
na chhin na ye silsila,
Mile hai sakoon bada,
 
Badi muddat se mujhe.................
 
Bachhpan ke din woh mere,
Jo beete sang maa tere,
The dil tere geton bhare,
base jo ang-ang mere,
Na bhooloon unko sada,
Hai unme jaadu bhara,
 
Badi mudat se mujhe..................
 
 
Copyright©Harash




























Enter supporting content here

Dekh ker ke aayina khud se bharosa uthh gaya,
Be-shak khuda se maangta hai 'harash' ab do gaz zameen.

COPYRIGHT

This website comprises and contains copyrighted collections and materials i.e Ghazals  and other writing works. You may not distribute, publish or use the materials, or any part of the materials,You are only authorized to view,the material contained within this website. In other words, All rights reserved. Reproduction in whole or in part is strictly prohibited without express written consent from the auther of the material.