Daastan-e-Zindagi

Meri Azaad Shayari

Mere Dil Ke Ahsaas

Home | Meri GazleiN | Punjabi Darpan | Funny Geet/Ghazals/Kavita | Meri Azaad Shayari | English Poetry | Mere Geet | MaiN Our Meri Tanhayii | My Favourite Links | Inspirational things | Merii KahaaNiyaaN | Important Circulars

...

कितनी जद्दो-जहद की मैंने ज़िन्दगी के मसले सुलझाने में,
मगर रंजिश उसके दिल की तबाह हो तो फिर कोई बात बने |

_____हर्ष महाजन

..
उम्र को पशोपेश में अब यूँ न डाला कीजिये,
वक़्त की आँधियों को खुद खंगाला कीजिये |
कौन पूछेगा हमें हमारे काम का सिलसिला,
ख्यालातों की बागडोर खुद संभाला कीजिये |

_________हर्ष महाजन

Thursday, February 16, 2012

 

Dil ki kitaab ke safey kabhi toh khola keejiye

be-adab toh ham haiN tum toh bola keejiye

 

 

_______________Harash Mahajan

 

 ()()()()

 

 

Thursday, February 16, 2012

 

 

Musalsal khwaaiishoN ke silsile kabi poore nahiN hote

zaroorat kam nahiN hoti Ibadat kam nahiN hoti

 

_____________________Harash Mahajan

()()()()

 

Thursday, February 16, 2012

 

 

Usne mere dil ke talakh iradoN ko aaNka nahiN hai

Kismat wala hai woh ke usmeiN jhaaNka nahiN hai.

 

----------------------------------Harash Mahajan

 

 

 ()()()

 

 

Monday, February 13, 2012

 

 

Woh mere zism ke koney-koney meiN rehti hai

Ye saffar bhi kam hai woh hamesha se kehti hai

 

kaisi hai ye tadap jo iss kader mohabbat ki pyasi hai

Dil ke gulistaaN meiN reh kar bhi tanhayee sehti hai

 

__________________________Harash Mahajan

 

 

Friday, February 10, 2012

 

 

Bebasi ka aalam kuchh iss kader chhaya hai ab mujh par

ki laakh bhulaane par bhi wo tassawar ki raani hai ab tak

______________________________Harash Mahajan

Posted by Harash Mahajan at 3:35 AM

 

 

 

 

 

Tuesday, February 7, 2012

 

Unki bebasi dekh kar majbooran ikraar kar baithhe

Pyaar koso door tha jaane kyuN izhaar kar baithhe

 

Unko bhi iska ilm tha our hamko bhi tha iska ahsaas

Anjaane meiN dard naya dil meiN shumaar kar baithhe

 

 

__________________________Harash Mahajan

 

****

Sunday, February 5, 2012

 

 

Unki judaiyoN ka silsila toh qabil-e-bardaasht tha

magar phir yuN hua ke maiN barbaad ho gaya

 

Harash Mahajan

 

#####

तेरे होने का इस कदर असर रखता हूँ

डूबूँगा नहीं मैं समंदर में घर रखता हूँ ।

तेरे हुस्न को आदत है मेरी नज़रों की

मचले न शबाब अब इतना हुनर रखता हूँ ।

 

______________हर्ष महाजन

1/03/2012

 

 #######

 

Wednesday, January 25, 2012

 

मेरे हुस्न को ए 'हर्ष' इस तरह क्यूँ  देखा करते हो यूँ बेकरार  से

घायल कर देगी कोई किरण निकलेगी गर मेरे दिल की दरार से |

 

 

____________________________________हर्ष महाजन

 

 
#####

Tuesday, January 24, 2012

 

 

Tujh par shaq nahiN par bharosa bhi toh nahiN

Qasid tujh se milta raha toone roka bhi toh nahiN

________________________Harash Mahajan


@@@@

 

()()()
 
Hum bhi kis kader dewaane nikle
Jo puraane zakhm sehlaane nikle
Jo har taraf kataar liye phirte the
Wahi hamare dost puraane nikle
 
()()()

***
 
Phir na simtegi, agar dosti bikhar jaayegi
Zindagi zulf nahiN jo phir se saNwar jaayegi
 
Jo khushi de tumeh, thaam lo daaman uska
Zindagi roker nahiN haNs-kar Guzar jaayegi
 
***

 
 
------------------------------OOO--------------------------------------
 
Ye IshQ woh ishQ nahiN jisey koi samajhne ka naam de sake
ANdaz-e-Gehraayii se, doobne waaloN ka, koi sarokar nahiN hai
 
------------------------ooo-------------------------------

                           &&&
 
Har zakhm har khalish uski yaad ki paikar hai
Intezaar hai ye khat us tak pahuNcha de koi.

Zalzala is kader ufaan me hai ab ruk na sakega
majboor hooN, ye baat ab usey samujha de koi
 
                         &&&

-----------------@@@--------------------
woh our haiN jo gum ko faqat gum jaante haiN
Lajjat-e-gum hai kya shai jise hum jaante hain

Kutch bhi chhupa nahiN ahle nazer se yaaro
Kis ki taqdeer me kya-kya hai likha jaante haiN
----------------***----------------------

                                   @@@
Tumhari saaNso ka ulajhna is kadher dekha hai
Kaale saayoN ko hamne jidher-jidher dekha hai

Woh husn hai haqeeqi shabaab ko odey hue
Usey jab bhi dekha, tere jigher me dekha hai
                                   &&&

)()()()(
HarkatoN se woh kabhi baaz nahiN aate
Mere hi saaye ab mujhe raas nahiN aate

Koi toh ho, jala de ik charag, ke saffar badle
In AndheroN me gum bhi ab paas nahiN aate
)()()()(

DuayeiN kerne waaloN se koi keh de ke baaz aa jaayeiN
KahiN mere aakhiri saffar meiN koi Rukawat na aa jaaye.
 
 

OOOOOOO
 
Roz hi yahaaN in dooriyoN ko naapa kiye haiN hum
musalsal in majbooriyoN ko bhanpa kiye haiN hum
Tumhaari in dhadkanoN ki khaatir bas ai naazneen
Har pal apne is dil per tera naam chhapa kiye haiN hum

OOOOOOOOO
 
Dil-e-gamjada ko sataoge kya tum
Mujhe baar-baar ajmaoge kya tum
 
OOOOOOOOO
 
Tum mile toh Zindagi maiN ik nasha chhane laga
Be-maza si ho gayi thi ab maza aane laga
 
OOOOOOOOO
 
Har cheez ko dekhne ka apna ik andaaz hota hai
Jidher hota hai Ik be-wafa saath hota hai 
 
OOOOOOOOO
 
ZakhmoN se seena
 chhalni hua jata hai,
kambakhat,
ab dard bhi pareshaan hai
ki kahaaN se uthhooN
.
 
OOOOOOOOO
 
Her Roz Sochta hoon
ki use bhool jaoon,
yahi baat
Roz main bhool jaata hoon.
 
OOOOOOOOO
 
Shikwe gile jo kutch bhi hain tumko bhi hain unko bhi hain
pareshaanian jo kutch bhi hain tumko bhi hain unko bhi hain.
tumko rahega umra bhar is toot tey Rishtey ka gum
mazboorian jo kutch bhi hain, tumko bhi hain unko bhi hain.
 
OOOOOOOOO
 
Tik-tik garhi ki lamha-lamha maut ko pegaam,
guzra jo pal, allah ki rehmat samajh liya
 
OOOOOOOOO
 
Dastak na de ai maut mere der pe baar baar,
khuda ne mere dwaar pe Fatwa badal diya.
 
OOOOOOOOO
TanhaaiiyoN mein mere ager tum na hote
kat jaati umre yuiN hi rotey rotey
fiza bheeni bheeni
ye samaan hai suhaana
bada lutf aata jo tum paas hotey.
 
OOOOOOOOO
 
woh aati hain
our aaker chali jaati hain,
unse tou unki yaad hi achhi
kambakhat aati hai
per jaati hi nahi
.

OOOOOOOOO

Aadatan main pee leta hoon
Iraadatan mein pee leta hoon
roothey ghar khushian mujhsey
jiyadatan mein pee leta hoon.

OOOOOOOOO

Aankhon mein ashk kam nahirotey hain jaar-jaar
chun chun ke her boond pemaana bana liya

OOOOOOOOO

Dekh ker kay aayina khud se bharosa uthh gaya,
beshak khuda se maangta hai 'harsh' ab dou gaz zamee.

OOOOOOOOO

 

 



 

 


 
 

 

 

 



Enter supporting content here

Dekh ker ke aayina khud se bharosa uthh gaya,
Be-shak khuda se maangta hai 'harash' ab do gaz zameen.

COPYRIGHT

This website comprises and contains copyrighted collections and materials i.e Ghazals  and other writing works. You may not distribute, publish or use the materials, or any part of the materials,You are only authorized to view,the material contained within this website. In other words, All rights reserved. Reproduction in whole or in part is strictly prohibited without express written consent from the auther of the material.