Raju Sixth class maiN padta tha. School se chhutti hone ke baad woh roz Ghar ki taraf jaate hue aadhe
raaste se hi Chowk ke baayiiN(left) our bani Bhagwaan ki moortii par apne foottey se chot maarta hua phir usii raastey
par aaye ek chhote se talaab ke paas thodii der rukta, uske ander paanii ko Ghoorta our usmey khundak se ek kankad (stone)
phenkta our ghar ki our chal deta. Woh apnii zindagii maiN sab kutchh bhool sakta tha par ye din-charyaa kabhi nahi bhoolta
tha. Chup-chaap rehna uska swabhaav (nature) ban chuka tha. Uske dost bhi uski iss aadat se pareshaan the. Unko Raju
ka purana swabhaav bhoola nahiN tha, Jab woh hameshaaN hansta khelta tha our sabko hansata rehta tha. Woh ek pal bhi chup
nahiN reh sakta tha.
Ek din uski class ki hi ek chhatra, jiska naam
Karuna tha, usne usey roka our chup rehne ka kaaran poochha. Karuna ko abhi class maiN admision liye hue abhi ek maheena hi
hua tha our woh bhi jiyada bolne maiN vishwaas nahiN rakhtii thii. Puraane school maiN uskey saathi usey miss serious kaha
kerte the. Lekin usne Raju ko apne se bhi ek kadam jiyada serious paya. Karuna ke poochhne par Raju ne ek baar uski taraf
dekha. Raju ke chehre par kai parkaar ke bhaav aaye. Chehre ke bhaavoN se prateet ho raha tha, jaise iss question ne usey
kahiN Gehrii chot dii hai. Kutchh bolna chahta hai par bol nahiN paata our aage chal padta hai. Karuna apne question ke Ghere
maiN hi ulajh ke reh jaatii hai. Woh apne ko question ka answer na milne ke kaaran jaleel hua samajhne lagii.Karuna ko apna
antarman pareshaan sa lagne laga. Woh Raju ko samjhana chahtii thii.Uska swabhaav jo baaki bachhoN se pata chala tha, weh
uske aaj ke swabhav se kaafii bhinn tha. Pareshaan mann ko liye, aaj weh apne ghar jaane ke bajaye Raju ke peechhe chal
di.
Uskii har harkat Note kertii hui Karuna
Raju ke ghar tak jaa pahoonchii. Raju ne jab apne ghar jaaker jaise hi mud-ker darwaja band kerna chaha-----Woh Karuna
ko saamne dekh ker hairaan sa dikhne laga. Raju butt ki tarahkhada usey yuiN hi dekhta raha-----weh toh bhool hi chuka tha
ke usey kya kahe ....Karuna ek takk usey dekh rahi thii our umiid ker rahii thi ki Raju usey ander aane ke liye poochhe
ga lekin Raju yuiN hi jadwatt wahaaN khada hi raha. Karuna wahaaN khadii khadii paani paani hotii rahii.....aakhir uskii aankhoN
se aansoo beh nikle. Aansoo dekh Raju ghabra gaya our ek dumm bol uthha ... aap ander aaiye na, Roiiyega nahiN please.
Karuna ko jaise bahoot badii cheez mili ho, Weh khush ho gayii our Ghar maiN pervesh kar gayii. Raju ne usey bithhaya, paani
pilaya ourr uske ghar aane ka kaaran poochha. Karuna ne wahi question phir se dohraya. Raju samajh chuka tha ki Karuna bina
jaane chayn se nahiN baithhegii. Usne bhi Karuna ki utsukhta ka karan poochha. Chhotii si umar ki Karuna iss baat ka
jawaab na de paayii. Woh nahiN jaantii thii iska kaaran par mann baichayn tha. Raju uske saamne hi zammeen par baithh gaya
our apnii vyathha sunaney laga.
Raju ne bataya,'do varsh purani baat hai maiN fouth class maiN padta tha, Mere saath mmera ek mitra
shyaamm jo mere pados maiN hi rehta tha, meri hi class maiN tha. Hum bade achhe mitra the.Bada vishwaas tha mujhe mere bhagwaan
par.Coubees Ghante meri zubaan par bhagwaan ka hi naam rehta tha.Meri maa bhi badi and-vishwaasi thi.Usy pooja kerte dekhta
rehta--mujhe bhi achha lagta, maiN bhi ker liya kerta tha. Har mangal-waar ko maiN parsaad chadaya kerta tha. Kabhi som-waar
ko shivjee ki pratima par paani ya kachhi lassi bhi chadaya kerta tha. Man kerta, Toh kabhi santoshi maa ke vrat bhi rakha
kerta tha. Itni chhoti umra maiN ye sab kerta dekh, mere saathi mujhe chidate bhi our bahoot se bachhe mujhe sarhaate bhi
the.pat maine kabhi kisi ki parwaah bhi nahi kii.Shyaam jise maiN pyaar se shayamu bhi kaha kerta tha, usko mmeri iss pooja
ka virodhh kerna, jaise aadat si ban gayi thi. Mujhe school le jaane ke liye, mere ghar do gante pehle hi aa jaya kerta tha,
kyunki maiN pooja na ker sakooN.--lekin maiN bhi dheethh hi tha--pooja ker ke hi Ghar se nikalta tha.Mere kehne ka taatpar
ye hai ki shayamu poori tarah naastik hi tha. Woh mujhe bhi yahi samjhaya kerta tha ki pooja kerne se kutchh nahi prapt hota---ye
sab dakosleiNbaazi hai. Samay ki barbaadi hai. Main bhi ek kaan se sunta our doosre kaan se nikaal deta.
contd..........