Daastan-e-Zindagi

Meri GazleiN














Home | Meri GazleiN | Punjabi Darpan | Funny Geet/Ghazals/Kavita | Meri Azaad Shayari | English Poetry | Mere Geet | MaiN Our Meri Tanhayii | My Favourite Links | Inspirational things | Merii KahaaNiyaaN | Important Circulars





Kutchh GazloN Ke Baare MaiN

()
()
()
()
()
()
()
^^^^^^^^
Kutchh ChuniNda GazleiN
^^^
^^^
^^^
^^^

...

Pyaar dushman ki tarah hamse nibhaya na gaya,
bewafa tum the par hamse rahe batlaya na gaya .

_______________________Harash Mahajan




Ghazal
 
Woh shaks mujh ko is kadar badnaam kar gaya
Dil meiN chhupe the raaz sar-e-aam kar gaya.

Dilchasp baat ye ke woh hairaaN kar gaya
NadaaN si ik hawas ko, mere naam kar gaya.

Ruksat hua toh dil pe uske bojh tha lekin,
Woh jaate-jaate dosti nilaam kar gaya.

Nafrat nahi jahaaN ko bas ankho meiN nami hai
Kutch is tarah woh shaks mujhe be-daam kar gaya.

Rutbe pe apni mujh ko tha, gumaaN bahoot magar
Pal meiN woh saare sheher meiN tamaam kar gaya.


 
o
o
o
o
o
 

 
Ghazal
 
Aey mohabbat tu kar na mujhe alvida, mere aansoo palak se utar jaayeNge
Jo rahey umra bhar dil me qaid sada, sare khwaab woh pal me bhikhar jaayeNge.

Tu saji mere haathoN meiN takdeer ban, main khada hooN teri rahoN me O sanam
Gar khayaloN me bhi tu hui be-wafa, mere armaaN yuN pal me sihar jaayeNge.

Unche mehloN ke khwaab nahiN mere paas, par ye dil mera khush tha tujhi se abaad,
Ab rahe hasil-e-gum faqat gum hi gum, woh bhi sizde me tere gujar jaayeNge.

Aqal pe mujhe toh bahut naaz tha
, tere dar se vidha loon ye socha na tha,
Aey khuda ishq me ab hua kya bhram, khud hi nazroN se apni utar jaayeNge.

Ahele-dil, ahele-fun, ahele tha maiN sukhan, toone rakha poshida kyuN khanjer sanam
Teri zid ke tu hamko  kar de katal, hum toh khud hi tere gum meiN mar jaayeNge.


Harash Mahajan@copyright

Ahele-dil=dil ke kareeb
ahele-fun= khush dil
poshida=chhupana
 
O
o
o
o
ooooo

Nazm
 
Meri maiyyat pe aake chadaye jab phool
Dard hota hai kitna, woh kya jaane hai. 

kyuN izazat nahiN ke uthhooN kabra se,
MaiN hooN majboor kitna woh kya jaane hai.

Yaad aate jab Muzhko, woh Guzre lamheiN,
Khat padta hooN unke, woh kya jaane hai.

Ab Kooche se unke, koi  talluk nahiN ,
Per gujar ker gujarna, woh kya jaane hai.

Jaane chheena kyuN muzh se mera aashiaaN,,
Kya hui saazisheiN ab, woh kya jaane hai.

Ab ye ashquoN ki mehfil, hai  sazne lagi,
Par hue gum samander, woh kya jaane hai.


Harash@copyright
o
o
o
ooo

Nazm

Be-wafayi ki tohmat lagey na, ye batana mera farz hai
Dard itna diya hai toone, meri saansoN me bhi darz hai

Seh raha hooN dard-e-zubaN bhi, zeher bhujhe tere teeroN ki
Nikal rahieN jo aaNheiN meri, samjheNge yahi ab karz hai.

Hunar ye toone seekha kahaaN se, kar diya jo mujhko alvida
Gila karooN kya ab khuda se, sochta hooN tira ye marz hai.

Rahe na rahe tu sang mere, dard dil meiN rahega sada
Riste zakham ab dekh ker, mujhe kehna na khud-garz hai.

Tasweer teri in aaNkhoN meiN kutchh is tarah se qaid hai
Ab dost na dushman hi sahi, rehne de isey kya harz hai.


o
o
o
o
o
o
o

Ek bete ka khat, maaN ke naam

Tere Ghar ka AaNgan mujhe barha suhana laga
Na jaane kyuN, kis kader mujhe ye purana laga

MaiN bade itminaan se aya hooN tere paas maaN
ik umar Guzaar loonga gar tujhe ye nazrana laga

Tere bas meiN gar ho toh bhool jaana woh Dard
Mere aane ki aahat ka tujhe, kabhi tadpana Laga

Na jane kya dekha, maine teri udasas ankhoN meiN
Gunahgaar huN tera aane meiN mujhe ik zamana laga

Hamarey milan se Gar jalne lagegi ye kamzarf duniyaN
Khaak ho jaayega kisi dushman ka koi kabhi Nishana laga

Terii Ik awaaz pe mera, Gup-chup sa paas chale aana
Pyaar hai tera, paas ki lehroN ko bhi, pata na laga



Harash Mahajan
0
0
0
0
0
 

Ghazal

 
Saffar Zindagi ka mujhe har simt nibhana hai
Dushman mire bahut par tu ik dost purana hai

Mera har shabd bana hai tere hi shabdoN se
Unhe ab apne sheroN meiN bithhana hai.

Dard se bhara hai mere sheroN ka har misra
Tujhe ab ik-ik karke lamha-lamha sunana hai.
 
kab tak thaame gi tujhe, teri saanso ki Dore
Mujhe aaker. tujhe sapno meiN batlana hai.

Jee bhar ke jee lo is Zind ko jo asaaN toh nahiN
Dard ko bhoolne ka yahi ik sabab suhana hai.

Khuda ko bhi ab
sun.na hoga, meri faryaad ko 
Ke 'Harash' ko abhi ik roothha dost manana hai

Harash Mahajan @

Ab dil ke saaz ko saaf-ker, chahe baat ker ya na baat ker,
YuiN hi aaj nayi ik subah ki, shuru-aat ker na tu raat ker.

KahiN Gul na ker de dil ko ab, teri be-adab si ye dooriyaaN,
YuiN hi Ghut ke mer jaayeiN na hum, aise toh na halaat ker.

Hue ab fakat ik laash hum, chahe door raheiN chahe paas hum,
YuiN hi toot raha hai dil mera, ab jiyada na sawalaat ker.

Tum aaoge kabhi lout ker, Manga tha hamne khuda se ye,
Per ho sake na kabhi mere, kutchh apne toh khayalaat ker.

Ab ye wafa kya cheez hai, lagta hameiN maloom nahiN,
In be-wafaaoN se hi ab, dil kehta hai mulakaat ker.

 

()()()()()()

Ho rahe jo haadse yuN baat kuchh toh jaroor hai,
Aadmi jo, aam hai wo, har tarhaN bekasoor hai.

Kar raheN badnaamiaN aur bin adaalat faisla,
Shaks jo paaye saja, bebas aur majboor hai.

BastiyoN meiN jal rahe jo, kaagjoN ke haiN mkaN,
Kasoor ab jispe likha wo, aadmi bekasoor hai.

Kho chuke jo khud bharosa, kisko ab iljaam deiN,
Shaks ab bhi chup khada, usey har saja maNjoor hai.

Jhoot ke paibaNd lage haiN, ‘harash' ab poshaak par,
Aadmi jispe lageN wo, aadmi mash-hoor hai.

 

********

 

Bhookhey NaNgey Shaher maiN harsooN baste haiN khaleefe log,
DooNda kerte har tapke ko thhagne ke tareeke log.

Mehfil sooni, Maikash sooni, saare soone saaz hue,
Gum maiN doobey haiN sab itne, bhool gaye saleeke log.

Manzil nahiN mili toh gum maiN aashiq yuiN pagal hue,
Torh-torh GuNche phooloN ke, Ujaade yuiN bageeche log.

Jhooti shaan-o-shoukat maiN ab duniya yuiN mashgool hui,
Keemti cheezoN ke chakker maiN bhool gaye Galeeche log.

Muzrim yuiN parwaane ban, jab ghar maiN aa daakhil hue,
Dewaane ban Jhanka kerte dil ke yuiN dareeche log.

 

&&&&&&&&

Gar ye mumkin ho sitaroN se dosti ker looN,
Doobe na kashti kinaaroN se dosti ker looN.

Toote dil ko jo nacha de aisa woh saaz bata,
Hoke kaayal uskey taaroN se dosti ker looN.

Jinki aankhoN maiN samander si gehrayii ho,
Unki aankhoN ke ishaaroN se dosti ker looN.

YuiN hi ab gam ke taraanoN ko de sur koi ,
Aise hi virle fankaroN se dosti ker looN.

Koi dushman agar dosti ki raheiN dekhe,
Aise hi tooti diwaaroN se dosti ker looN
 
#######

Sar-e-aam yuN hi zulf saNwaaraa na kiijiye
Be-mout hamko husn se mara na keejiye.

Lehraate haiN yuN gaisoo ki dil bhi machal uthhe,
Kandhei ko yuiN ada se usaara na keejiye.

Rukhsaar per pereshaan ho barpa rahieN keher,
ab NaaginoN si ZulfoN ko awaara na keejiye.

Kundal bani hai lat tiri, aankheiN haiN chhal rahiiN,
Aa-aa ke khwaab maiN yuiN ishaara na keejiye.

Jab Jhatakte ho zulf miri shayari bane,
Ab baandh inko jaam toh khara na keejiye.

Ye zulf yuiN GirayiiN tune dil dehal uthha,
Hai iltaza ye bhool dubara na keejiye.

 

@@@@@@

 

YuiN na uljho meri zulfoN se o sanam, Pech 0 kham inke pal maiN sulajh jayeiNge.
Samjhoge tum kabhi, meri dadkan ko jab Khud b khud dil se dil bhi ulajh jayeiNge.

Tere kadmoN meiN dhadkan bichha ke chalooN, Maathe se shikan bhi hata ke chalooN
Ab banaooN naya aashiyaaN khwaboN ka Tum ishara kero hum samajh jayeiNge.

Na do humko yuiN iljaam kalioN ka ab,Ye toh Girti haiN mere naseeboN se kab,
Hum toh tarse haiN inko lipat jayeiNge, Girte-girte bhi inse ulajh jayeiNge.

Kitne  Aziat se tumko yuiN dete sada Teri saanse meri haiN ai jaan-e-wafa
YuiN rulao na ab, aao ab bahoN meiNYe sulagte haiN armaaN jo, bhujh jayeNge.

Bheegi aankho se manzer mileNge kahaaN chahat ka samander hai ab toh jawaaN
Tum yuiN sazte raho, hum yuiN takte raheiN Guzre lamhoN ki yaadoN maiN rujh jayeiNge.

 

@@@@@@@

Saaki Teri Sharaab Ne Muzko Sula Diya
Dil meiN unki yaad thi usko bhula diya.

Ye husn kya, shabaab kya, hai kya naseeb meiN,
Aaj toone jaam meiN, kya-kya mila diya.

Chhalak ke jaam pee gaya, asar tou poochhiye,
Ki aaj bhooli yaad ne, muzko rula diya.

Chhod unki yaad hum, baithe the bazm meiN,
Magar jo maNga jaam tou, sheesha hila diya.

Kab tak challeNge jaam saaki, kab bhujhegi pyaas,
Khali dikha ke jaam toone kya sila diya.
 
 
#######

 

Hui YuN GamoN Ki  ye shaam Aakhiri hai,
Pehna do kafan ye salaam Aakhiri hai.

YuN bhar ke ye akhiyaaN, tapaktey jo aaNsoo,
Wo kehtey haiN peelo ye jaam Aakhiri hai.

Saffur akhiri hai kadam do mila lo,
Khuda ka diya intzaam akhiri hai.

Taraptey rahey per sakooN tha ki itna,
Gamey ZiNdgi ka Inaam Aakhiri hai.

YuN khwaaboN mieN har pal rahey umra bhar jo,
unhi ke liye ye kalaam Aakhiri hai.

 

 

*******

^^^^^^^^^^
^^^^^^^^^
Muzhe gum hai mera koi yahaaN dewaana nahiN hai,
Yakinan duniya ne muzhko yahaN pehchana nahiN hai.

Hua hooN para-para dekh zamaane ki adaoN ko,
Muzhe kyuiN lagta tha koi yahaaN be-gana nahiN hai.

Chale talwaaroN ki maafik zubaaN apne kareeboN ki,
Lage waise bhi ab mousam yahaaN suhaana nahiN hai.

Hue hamdard ab dushman khudaya de kafan muzhko,
YahaaN be-dard duniyaaN maiN mera thhikana nahiN hai.

Tazurba ho gaya muzhko sahe jab sholay nafrat ke,
Hui jo sazisheiN par 'harash' yahaaN anjana nahiN hai.
 
~~~~~o~~~~~
 
^^^^^^^
^^^^^
Tu rakeeboN ki janib sarakti rahi,
MaiN sulagta raha tu bahekti rahi.

MaiN tere anjuman main yuiN hi raat –din,
Bas tahelta raha tu bikharti rahi.

Tu toh GairoN ki mehfil main hansti rahi,
MaiN toh Ghut.ta raha tu machalti rahi.

MaiN toh jazbatoN se khwaab bunta raha,
Par wafa kerke bhi tu palat.ti rahi.

MaiN teri rahoN se shool chunta raha,
Per ye dard aahoN main tu badalti rahi.

Mere khwaboN ki mehfil maiN lout aao tum,
Meri manzil yahi tu kuchalti rahi.
 
~~~~~o~~~~~

OOOOOOOOO
Kabra per meri woh shama jalate rahe,
Mout per yuiN hi woh dil behlaate rahe.

Roundh-ker har khwaiish meri panv tale,
Be-basi per yuiN hi woh muskrate rahe.

AshquoN ki thi tapish jo meri kabra per,
Un se apne zakhm hi sehlate rahe.

Ye soch ker ki aakhiri saya tha main,
Woh toh sar per mout se mandrate rahe.

Ab kabra meiN bhi neend mujhe ati nahiN,
Ik umra se kisse jo hum chhupate rahe.
OOOOOOOOO

ZakhmoN Se Tujhko Mout KI Pehchaan Ho Gayi
Ada YuiN gam ko peene ki imaan ho Gayi.

Rehta tu kis JahaN meiN ye waqt na jana
Mout bhi ghar aane se pareshaan ho gayi.

Tadpaati thien jo tuzhko yuiN teri hi tanhayi
woh khud-b-khud lage hai ab kurbaan ho gayi.
 
 Dil ki ranjisheiN bahoot haiN tujh se magar
Woh  tamanna bhi meri ab tamaam ho gayi



Andhere dil se toone jo chiraag kiye roshan
Ai 'harash' Dekh mout se pehchaan ho gayi.

OOOOOOOOO

 
Chura loonga tera jamaal jara sambal ke rakho
Husn ho chala tera kamaal jara sambal ke rakho

Behak na jao mere ishq ke saroor maiN ab tum
chatpataye na mera khayal jara sambal ke rakho

Jawaab jinke nahiN hai meri mohabbat ke siva
chashm pooche jo sawaal jara sammbal ke rakho.

Hunar hai tera le gaye tum dil ki gehraiyoN maiN
kajal na looN tera nikaal jara sambhal ke rakho

Tum aks laakh chupate raho ai 'harash' magar
Samajh looNga dil ka haal jara sambal ke rakho.
OOOOOOOOO















 
MaiN jab bhi ata hooN dil ko saja ke rakhti ho
Badan Gulaab toh dil maikeda bana ke rakhti ho.

bahoot azeez hai mujhko tilism teri nazroN ka,
Sharbati aankhoN maiN jab jab saja ke rakhti ho.

Kadam fisal na jayeiN mere husn tire shabab se
saja kitne gulaab dil maiN chhupa ke rakhti ho.

Raah na bhool jaooN kabhi andheroN maiN yarab
Isii liye shayad dil ka diya jala ke rakhti ho
 
*********















Kabhi PalkoN pe Aansoo Kabhi Lab pe shikayat hai 

Dekh ker ke aayina khud se bharosa uthh gaya,
Be-shak khuda se maangta hai 'harash' ab do gaz zameen.

COPYRIGHT

This website comprises and contains copyrighted collections and materials i.e Ghazals  and other writing works. You may not distribute, publish or use the materials, or any part of the materials,You are only authorized to view,the material contained within this website. In other words, All rights reserved. Reproduction in whole or in part is strictly prohibited without express written consent from the auther of the material.